Thursday, June 13, 2013






Tere To Sun Ko Saba Bandhte Hain
Hum Bhi Mazmoon Ki Ki Hawa Bandhte Hain
Aah Ka Kis Ne Asar Dekha Hai
Hum Ik Apni Hawa Bandhte Hain
Teri Fursat Ke Muqabil Aey Umar
Barq Ko Paa Ba Hina Baandhte Hain
Qaid-E-Hasti Se Rihaaii Maaloom
Ashk Ko Be-Sar-O-Paa Baandhte Hain
Ghalti Haye Mazameen Mat Pooch
Log Naaley Ko Rasa Baandhte Hain
Ahl-E-Tadbeer Ki Wamandgiyaan!
Aablon Par Bhi Hina Baandhte Hain
Saada Pur’kaar Hain Khoobaan, Ghalib

Hum Se Paimaan-E-Wafa Baandhte Hain
Main Usse Mohabbat Karta Tha Use Ehsaas Dilaya,
Aur Usne Mujhe Apni Mohabbat Ka Yakeen Dila Diya,
Ghar Se Be-Ghar To Doston Mein Khwar Karva Diya,
Jabse Usne Mujhe Uski Mohabbat Mein Giraftar Karva Diya,
Uski Ek Jhalak Se Hi Karar Aa Jaye,
Jaise Kisi Pyase Ko Pet Bhar Pani Pila Diya,
Mohabbat Mein Meri Hi KaMi Thi Ye Ehsaas Dila Diya,

Jabse Maine Use Chand Ki Aagosh Mein Lipta Hua Paya.
Zara Sa Aasmaan Diya Hota
Meri Wafaaon Ka Sila Diya Hota
Maanga Tha Kuch Pal Ka Saath
Mere Hisse Ka Pyaar Diya Hota
Na Gila Hota Tujh Se Kabhi Bhi
Meri Shikayaton Pe Nazar Kiya Hota
Intezaar-E-Sanam Jaan Leva Ehsaas Hai
Mere Pyaar Ka Ehsaas Sangdil Zara Hota
Har Kadam Par Jhoote Waade Kiye Hai
Tere Kasmon Ka Sahaara To Mila Hota
Jhooti Aas Main Jee Leti Zindagi
Kaash Laut Aane Ka Waada Kiya Hota
Na Umeed Ki Koi Kiran Nazar Aati Hai
Tere Pyaar Ne Yun Tabaah Na Kiya Hota
Na Ho Raha Hai Yakeen Teri Bewafaai Ka
Kaash Teri Farebi Baaton Ko Jaan Liya Hota
Paa Liya Tune Kinaara Doobo Ke Mujhko
Majhdaar Main Kashti Ko Doboya Na Hota
Kinaare Ki Umeed Main Tayarti Rahi

Kaash Hasraton Ka Kinara Kareeb Hota
Bas K Dushwar Ha Har Kam Ka Asan Hona.
Aadmi Ko Bhi Mayassar Nahi Insan Hona
Grya Chahy Ha Kharabi Mery Kashanay Ki
Dar O Deewar Se Tapkay Ha Bayabaan Hona
Wae Dewangi E Shouq K Har Dam Mujh Ko
Aap Jana Udhar Or Aap Hi Hairaan Hona
Jalwa Az Bas K Taqaza E Nigah Karta Ha
Johar E Ayena Bhi Chahiay Mizghan Hona
Isharat E Qatl Gah E Ehl E Tamanna Mat Pooch
Eid Nazzara Ha Shamsheer Ka Uryaan Hona
Lay Gaey Khaak Main Ham Dagh E Tamanna E Nishat
Tu Ho Or Aap Basad Rang E Gulistaan Hona
Ishrat E Para E Dil Zakhm E Tamanna Khana
Lazzat E Raish E Jigargharq E Namakdaan Hona
Ki Mery Qatl K Bad Us Ne Jafa Se Tobah
Haey Us Zood E Pashemaan Ka Pashaiman Hona
Khaif Us Chara Gra Kapray Ki Qismat Ghalib

Jis Ki Qismat Main Ho Aashiq Ka Girebaan Hona
Dua Ki Soorat Mein Uski Khatir,
Jo Mere Honton Se Lafz Nikle,
Jo Meri Aankhon Se Ashk Nikle,
Unhi Ke Badle Mein Aey Khudaya!

Jab Bhi Uska Naseeb Likhna!

Urooj Likhna,
Kamal Likhna,
Kabhi Na Harf-e-Zawal Likhna,
Khushiyan Likhna,

Aur Uski Umer-e-Daraz Likhna….






Kadam ruk se gaye hain aj phol bikte daik kar

Wo aksar muj se kehta tha “muhabat phol jesi hai” 
Ku Baku Phail Gai Baat Shanasai Ki
Us Ne Khushbu Kee Tarah Meri Pzeeraie Ki

Kiase Keh Doon K Mujhe Chorr Diya Us Ne
Baat To Sach Hai Maggar Baat Hai Ruswaaie Ki

Woh Kahein B Giya, Loutaa To Merey Paas Aya
Bas Yahi Baat Hai Achhi Mere Harjaie Ki

Us Ne Jalti Hui Peshaani Pe Jabb Haath Rakhaa
Rooh Tk Aa Gaie Taa’seer Maseehai Kee


Wednesday, June 12, 2013





















Na Tha Kuch Tu Khuda Tha, Kuch Na Hota Tu Khuda Hota

Dboya Muj Ko Hone Ne, Na Hota Main Tu Kya Hota

Hoa Jab Gham Se Yun Behis Tu Gham Kia Sar Ke Ketne Ka

Na Hota Gar Guda Tan Se Tu Zano Par Dhara Hota

Hoi Mudat Ke Ghalib Mar Gya, Par Yad Aata Hai

Wo Har Ik Baat Pe Kehna Ke Yun Hota Tu Kya Hota




Itne Masroof Ho Gaye Ho Tum
Dil Dukhane Bi Ab Nahi Aate


Sari Umar Kar Ke Barbad Ishq Ki Izaat Chakh Li
Us Ne Bi Burqa Pehn Lia Ham Ne Bi Dari Rakh Li

Baray Sukoon Se Ruksat Tu Kar Dia Us Ku
Phir Us Ke Baad Mohabat Ne Inteha Kar Di


Na Bazm Apni, Na Saqi Apna, Na Sheesha Apna, Na Jam Apna
Agar Yehi Hai Nizami Hasti Tu Ghalib Zindagi Ko Salam Apna


Gham Ki Barish Ne Tere Naqsh Ko Dhoya Nahi

Tu Ne Muje Kho Dia Main Ne Tuje Khoya Nahi
With the start of each new day
I find myself thinking of you
In the middle of my busy day
my mind wanders and i think of you
Out of nowhere i see your smile
hear your laugh and i think of you
Life is beautiful now because i fall in love

all over again each line i think of you


Yun Hi Intezaar Karta Raha Aur Waqt Dhalta Raha
Mere Intezaar Ka Soraj Har Lamha Pigalta Raha
Tay Tu Ye Hua Tha Ke Payen Ge Aik Hi Manzal
Bech Rah Main Wo Mukr Gaya Suye Manzal Main Chalta Raha
Kabi Us Ke Liye Hans Diye Kabi Us Ke Liye Ro Diye
Wo Khud Ko Tu Na Badal Saka Bas Muj Ko Hi Badalta Raha
Ab Tak Kese Chup Raha Ye Mat Poch Majid
Waqt Muje Behlata Raha Or Main Behlta Raha


Tuesday, June 11, 2013